in

Dating : Rizwan — Urdu Afana

h2>Dating : Rizwan — Urdu Afana

Zuraiz Niazi

Rizwan ko Sultan Park k ilakay mein rehtay abb saat saal guzar chukay thay. Uski Shadi kam umer mein hi ho gaye thi, laikin badkismat ki biwi aik beti, jo Rizwan ki akloti olaad thi, ko paida kertay hi wafat pa gaye thi. Biwi se behad muhabat kerta tha laikin himat aur ghairat wala mard tha tou kabhi usne apni biwi ki wafat ko kamzori banay na diya. Maa aur Behno ki madad se apni beti ko khudhi palnay laga. Mazdor tha, tou beti k mustakbil k liyai bohat mehnat kernay laga. Roz subha beti ko maa k hawalay ker k kaam par nikal jata tha aur dehari pori ker k hi shaam mein wapis atta tha. Mushkilat thien par ghar ki roti pori ho rahi thi.

Uss roz Rizwan ki ankh dair se khuli thi. Najanay kin sochon mein gum tha, uthnay k badd bhi kafi dair tak bistar par hi para raha. Beti subha se hi Rizwan k kamre mein apne khilono se khel rahi thi, kabhi usko khelte dekh laita tou kabhi chat par lagay pankhay ko ghorta rehta. Ghanto isi terhan guzar gaye, phir achanak uske kamre k darwazay par dastaq hoye aur darwaza khula, Rizwan ki maa ai thi. Maa k anay par Rizwan bistar par hi uth ker beth gia aur apni ankhain malnay laga. Usne apni maa, jo abhi darwazay mein hi khari thi, se ankhain milaien aur phir mayusi mein nigahain neechay ker k apni beti ko, jo abhi bhi khilono se khel rahi thi dekhne laga.

Maa k chehray par koe pareshani thi. “Kab tak isi kamre mein para rahay ga? Bahir subha se shaam honay wali hai aur kuch nahi tou maa k pass hi beth ja”, Maa nay kaha.

Rizwan nay maa ki baat suni par nazarandaz ker di. Abhi bhi uski nigahain apni beti par hi tikien thien.

Betay ka jawab na mila tou maa thori mayus ho gaye aur dhemi awaaz mein boli, “Beta kab tak kaam par nahi jaye ga? Kab tak subse aise naraz rahay ga?”

Kamre mein thori dair khamoshi rahi phir Rizwan nay nighahain apni beti se hataien aur maa ki terf dekha. “Kya kaam keron? Kya faida?”, Rizwan nay jawab diya.

Betay ka jawab suna tou maa nay sharmindigi mein ankhain neechi ker lein.

Rizwan nay bhi khafa ho ker maa ki janib se apna moh mor liya. Phir usne apna hath uthaya aur sar par kharish kerne laga. Uske baal jo phlay hi kharab thay abb aur ulajnay lagay thay. Phir najanay kyun achanak se ussi hath se apne hi balaon ko ghussay mein khichnay laga. “Humaray sath hi aisa kyun hota hai?”, Rizwan nay cheekh k bola.

Maa k pass phirse Rizwaz k sawal ka koe jawab na tha. Woh darwazay mein hi khamoshi se khari rahi.

Rizwan ki cheekh sun ker uski beti nay uski terf teraf masomiyat mein dekha. Jab dono ki nazrain milien tou Rizwan k ankhon mein anso bhar ai. Woh phlay khamosh raha, phir shiskiyan bharnay laga aur phir zor zor se ronay laga.

Rizwan ki maa phir bhi khamosh rahi. Betay ko dard mein dekh k maa ki ankhon mein bhi anso bhar ai par usne unko behnay na diya.

Rizwan k ronay ki shidat abb itni bhar chuki thi k usne sath paray takiyai ko uthaya aur ussay apne moh k sath dabanay laga. Phir achanak bistar par gir giya. Uske ronay ki awaaz ghar k konay konay mein gunj rahi thi.

Rizwan ki maa se aur dekha na ja raha tha tou usne mayusi mein kamre ka darwaza khola, kamre se bahir nikali, apne palu se apni nam ankhain saaf ki aur palat k kamre k andr aik akhari baar dekha.

Kamre k aik konay mein pari charpaye par uska beta laita ro raha tha aur farsh par bikhray khilono mein uski marhom poti ki yadain dafan thi.

Read also  How to Get iPhone Emojis on Your HTC or Samsung Device (No Root Needed) «Android :: Gadget Hacks

What do you think?

22 Points
Upvote Downvote

Laisser un commentaire

Votre adresse e-mail ne sera pas publiée. Les champs obligatoires sont indiqués avec *

Dating : Hatiku tertaut hatimu karena cinta-Nya

Dating : What Happens When You Stay Single For Too Long?