in

Dating : Pencil Wala Pyaar

h2>Dating : Pencil Wala Pyaar

Ye Kahani uss Daur ki hai , 
Jab sab kuch naya hota tha , 
Naya School , Nayi Jagah, Naye dost ,
Nayi Kitaabe, Naye khayal, Naye jajbaat ,
S
ab kuch itna naya hota tha, 
Mano bachpan kissi jannat se kam nhi tha.

AAJ bhi yaad hai mera school ka wo pehle din,
Jab maine tumhe dekha , tab meri attendence chuuuth gyi thi , 
Teri mushkurahat ko dekh kar , 
Na jaaane kon se khayalo me gum ho gya tha.

Jis din tu nhi aati thi , us din mera pura din khali khali sa rahta tha, 
Aksar teri seat ke peeche hi baithda tha, 
Kyu ki bachpan ke daur me ladke aur ladkiya alag alag baithne ka rivaz tha, 
Waise to mai aksar tujhe dekh ke mushukura liya karta tha, 
Magar Teri meri baat pehli baar tab suru hui,
Jis din tu sharpener lana bhul gyi thi,

Aaj bhi yaad hai teri wo Natraj pencil ki nok ka tutna, 
Aur baakiyo se tera wo sharpener maagana, 
Aksar mai sharpener desk ke upar hi rakhata tha, 
Kyu ki aksar thodi si bhi bhuk lagne par mai Pencil ko chaba liya karta tha, 
Aur phir daat na pade iss dar se, 
Jaldi se apni Pencil ko sharpener se cheel liya karta tha,

Maine dekha ki tum sharpener maag rhi ho, 
Isse pahle koi aur tujhe apna sharpener tumko deta, 
Maine jaldi se apna sharpener tumko diya , 
Tumne phir apni Pencil ko cheel kar naya jaise kar liya, 
Aur sharpener wapas karte hue bola.. thank you

Maano Dil me ..thank you.. nhi kuch aur sunai diya hoo, 
Tab to mai kuch naa bola, sayad thoda Jijhak si thi dil me,

Apni wo first class ke english lecture me, 
Jab teri wo choti si Pencil ka tut jaana, 
Phir wo pencil ka ab likhne layak baaki na rah jaana, 
Mai jaise hi ye sab peeche se dekha, 
Waise hi maine apni nyi Pencil ko beech se thoda, 
Aur jaldi se Pencil sharp karke tumko diya,

Tab tu bahut khush hui, 
Bus ussi din se mai har roj 2 Pencil laane laga tha, 
Sayad iss wajah se ki kab teri Pencil tute ya khatm ho , 
Aur mai apni Pencil tumko de paau,

Jyadya baat to nhi kiya karta tha, 
Sayad tujhse Thoda sharmata tha , 
Aur hamare tumhare beech ye Pencil ka Bahana tha, 
Tera naam puchna bhi Sabse kathin kaam tha,

Lekin aakir himmat karke puch hi liya, 
Tab tumne apna naam batya Neelam
Maano naam sunte hi koi khajana haath lag gya ho,

Phir uss din se hamari dosti aur gahri hoti chali gyi, 
Tu agar kabhi kissi ladke se baat bhi karti thi, 
To mujhe jalan si hone lagti thi,

Aaj bhi mujhe yaad hai.. koi teri desk par naa baith jaaye, 
Isliye sabse pahle aakar class me apna basta teri desk par rakh diya karta tha, 
Aur tere aane par , apna basta uthakar teri seat ke peech baith jaaya karta tha.
Mujhe aaj bhi yaad hai wo hindi madam ka pehla lecture , 
Aur mera wo Pencil box ghar par bhul jaana,

Tab maine sabse pahle tumse Pencil maagi ki, 
Aur tumne bhi pencil mujhe jaldi se de di thi, 
Tab pata chala ki tu bhi 2 Pencil laya karti thi, 
Kisliye ye mujhe tab saayd malum nhi tha,

Magar aaj jab wo lamha yaad karta hu, 
To ehsaas hota hai shayad whi hamara Pencil Wala Pyaar tha.

*************************** THE END ******************************

Credit’s

Written By: Alok Rathaur

Read also  Dating : Wild sweet orange tea

What do you think?

22 Points
Upvote Downvote

Laisser un commentaire

Votre adresse e-mail ne sera pas publiée. Les champs obligatoires sont indiqués avec *

Dating : I’d wish to hear some tips and perspectives from others regarding to dating life experiences

POF : Just STOP!